कदम कदम हम अपनी मंज़िल के नज़दीक आ रहे हैं,
मोदी गवर्नमेंट को हम धीरे धीरे हरा रहें हैं I
हमारा असली चेहरा तो सब ने देखा था यहाँ,
हौले हौले हम उनका असली रूप दिखा रहे हैं I
वैसे हमारी नीतियों और उनकी में कोई ख़ास फर्क नहीं है,
पर जैसे उन्होंने हिलायी हमारी गद्दी, हम उनकी हिला रहे हैं I
भारत की जनता के आगे एलेक्शंस में ज़्यादह चॉइस नहीं है,
Indirectly हम इनको यह ज़रूरी सीख सिखा रहे हैं I
चोर बदमाश वह हैं, चोर बदमाश हम भी रहे हैं,
पर वह इस वक़्त के हैं, हम यह सब को बता रहे हैं I
इस से जनता rebound में वोट हमें ही देगी,
उनकी और NOTA की failure हम समझा रहे हैं I
Power में आने के बाद वही करेंगे जो किया था साठ सालों में,
पर इस वक़्त तो उनकी यकीनन हार की ख़ुशी मना रहे हैं I
Footnote to the anthem:
कितना अच्छा होता अगर देश में कुछ तो नेता होते,
जो पार्टी छोड़ के कहते हम देश बचा रहे हैं I
पर यह मक़ाम देश में अभी नहीं है आया,
Main parties एक दूजे पे इलज़ाम लगा रहे हैं I
Kadam kadam ham apni manzil ke nazdeek aa rahe hain,
Nodi government ko ham dheere dheere hara rahe hain.
Hamara asli chehra to sab ne dekha tha yahan,
Haule haule ham unka asli roop dikha rahe hain.
Waise hamari neetiyon aur unki mein koi khaas farq nahin hai,
Par jaise unhone hamari hilayi gaddi, ham unki hila rahe hain.
Bharat ki janata ke aage elections mein zyaadah choice nahin hai,
Indirectly ham unko yeh zaroori seekh sikha rahe hain.
Chor badmaash woh hain, chor badmaash ham bhi rahe hain,
Par woh is waqt ke hain, yeh ham sabako bata rahe hain.
Is se janata rebound mein vote hamen hi degi,
Unaki aur NOTA ki failure ham samjha rahe hain.
Power mein aane ke baad wohi karnege jo kiya tha saathh saalon mein,
Par is waqt to unaki yakeenan haar ki khushi mana rahe hain.
Footnote to the anthem:
Kitna achha hota agar desh mein kuchh to neta hote,
Jo party chhod ke kehte ham desh bacha rahe hain.
Par ye maqaam desh mein abhi nahin hai aaya,
Main parties ek duuje pe ilzaam laga rahe hain.
Great.
Thank you
Undoubtedly true analysis and futuristic envision
Thank you, Vipan