ज़िन्दगी में कोई न कोई बात रह जाती है,
दिन गुज़र जाता है तो रात रह जाती है ।
इश्क़ की गर्म ओ गर्मियां चार दिन की हैं,
फिर तो सिर्फ यादों की बरसात रह जाती है ।
तेरी हँसी के फवारे थे मुखतसर लम्हों के लिए,
उसके बाद ग़मों की बारात रह जाती है ।
हम ही हैं जो खुद को जहाँन समझते हैं,
हमारे चले जाने पे भी कायनात रह जाती है।
सारी जिंदगी छोटी नज़र आती है इसके मुक़ाबले,
जब ज़ेहन में छोटी सी मुलाक़ात रह जाती है।
बचपन और जवानी में कितनी हसीन लगती थी,
बुढापे में नाश – ए – हैय्यात रह जाती है।
एक एक पल हमने संवारा था खून ओ पसीने से,
आखिर में तो मजबूरी – ए – हालात रह जाती है।
कोई नहीं समझ पाया ज़िन्दगी के मायने, रवि,
गुज़र जाने पे भी तख्ती – ए – सवालात रह जाती है।
Zindagi mein koi naa koi baat reh jaati hai,
Din guzar jaata hai to raat reh jaati hai.
Ishq ki garm o garmiyan chaar din ki hain,
Phir to sirf yaadon ki barsaat reh jati hai.
Teri hansi ke fawaare the mukhatsar lamhon ke liye,
Uske baad gamon ki baraat reh jaati hai.
Ham hi hain jo khud ko jahan samajhte hain,
Hamaare chale jaane pe bhi kayanaat reh jaati hai.
Saari zindagi chhoti aati hai iske muqaable,
Jab zehan mein chhoti si mulaqaat reh jaati hai.
Bachpan aur jawani mein kitani haseen lagti thi,
Budhaape mein naash-e-hayaat reh jaati hai.
Ek ek pal hamne sanwaara tha khoon o paseene se,
Aakhir mein to majboori – e – halaat reh jaati hai.
Koi nahin samajh paaya zindagi ke maayine, Ravi,
Guzar jaane pe bhi takhti – e – sawalaat reh jaati hai.
Sir
Very well composed
Hats off to you
Very true Sir .
Thanks Bansi
Thank you, Jaswant
Is this your compilation dear Ravi ..Highly romantic , spiritual and emotional , beautifully rendered . Bravo Zulu
Thank you, Sir. Regards