कौन कहता है मेरी माँ अब मुझसे दूर है,
हवाओं की खुशबु उनकी महक से मगरूर है I
दिन के उजाले उनकी मौजूदगी की पहचान हैं,
माहताब की किरण उनकी ही आँख का नूर है I
कंडाघाट नज़ारों में जब नज़र दौड़ाता हूँ,
यकीन आता है मेरी माँ इनमें ज़रूर है I
मेरी क़राबत में जो भीगी शादाबी है फ़िज़ायों में,
मेरी माँ की तबस्सुम का ही तो सरूर है I
अब भी छू लेता है मुझे उनके प्यार का अंदाज़,
अब भी ज़िन्दगी में माँ के होने का फितूर है I
जिधर देखता हूँ मुझे माँ हू बा हू नज़र आती है,
उनकी सादगी ओ मासूमियत हर तरफ मौजूद है I
सब कहते हैं, रवि, भूल जायो और आगे बढ़ो,
क्या खबर उनको माँ थी और माँ ही मेरा वजूद है I
Kaun kehta hai meri maa ab mujhase door hai,
Hawayon ki khushbu uanki mehak se magroor hai.
Din ke ujaale unaki maujoodgi ki pehchaan hain,
Mahtaab ki kiran unki aankh ka noor hai.
Kandaghat nazaron mein jab nazar daudhata hoon,
Yakeen aata hai meri maa in mein zaroor hai.
Meri qaraabat mein jo bheegi shadabi hai fizayon mein,
Meri maa ki tabassum ka hi to saroor haI.
Ab bhi chhoo leta hai mujhe unke pyaar ka andaaz,
Ab bhi zindagi mein maa ke hone ka fitoor hai.
Jidhar dekhta hoon mujhe maa hoo ba hoo nazar aati hai,
Unaki saadgi o masumiyat har taraf maujood hai.
Sab kehte hain, Ravi, bhool jaayo aur aage badho,
Kyaa khabar unako maa thi aur maa hi mera wajood hai.
Salaam!
Shukriya.
Mother Earth is the biggest mother , in her phen ominon we can see our mothers distinctlly . Naman.
Thank you, Jaswant. I agree.
Emotional poem sir.May the mother remains blessed in heaven
Thank you Sajan.
A beautiful ode to mother
Thank you, Sir. Regards