नफरत है उन्हें अब हमसे जो करते थे हमें प्यार,
दुश्मन बने हैं आज वह जिन्हे दोस्ती का था इकरार I
क्या क्या न हम उनके लिए बने फिर भी रंजिश ही रही,
दरिया तो रहा बीच में, मैं इस तरफ वह उस पार I
जशन-ऐ-ख़ुशी के बुदबुदे मौजों में नज़र आते रहे,
वह साहिल पे खड़े देखते रहे, मैं रहा सागर के मंझधार I
माना के अहद – ऐ – वफ़ा के नाम से तुम्हें नफरत ही रही,
दिल तो गरीब का रख लेती झूठा ही एक बार I
खिज़ाओं से दिल की महफ़िल कुछ इस तरह थी रौनक,
वह ही उठ के चल दिए जब आने को थी बहार I
अब तो नब्ज़ – ऐ – आरज़ू चलती है थम थम के,
काश तुम तब देखती जब बुलंद थी इसकी रफ़्तार I
कुछ देर और रुक जाती, हमने कहा भी था, रवि,
अभी अभी तो हुआ है मेरी मौत का सामान तैयार I
Nafrat hai unhen ab hamse jo karte the hamen pyaar,
Dushman bane hain aaj woh jinhe dosti ka tha ikraar.
Kyaa kyaa na hum unake liye bane phir bhi ranjish hi rahi,
Dariya to raha beech mein, main is taraf woh us paar.
Jashn-e-khushi ke budbude maujon mein nazar aate rahe,
Wo sahil pe kade dekhate rahe, main raha saagar ke manhjhdaar.
Maana ke ahd-e-wafa ke naam se tumhen nafrat hi rahi,
Dil to gareeb ka rakh leti jhoodha hi ek baar.
Khizaaon se dil ki mehfil kuchh is tarah thi raunak,
Woh hi uthh ke chal diye jab aane ko thi bahaar.
Ab to nabz-e-aarzoo chalti hai tham tham ke,
Kaash tum tab dekhati jab buland thi isaki raftaar.
Kuchh der aur ruk jaati, hamane kaha bhi tha, Ravi,
Abhi abhi to hua hai meri maut ka samaan taiyyaar.
Beautiful lines🌹…..aap shayri bhi karte gain? I love your posts…..they cover such a variety of subjects. Great 👍 keep writing
Thanks Abha. Please go to the Poems and Limericks section of my blog and you will find many poems by me in Urdu/Hindi and English and one in Punjabi too.
Brilliant . Another unknown aspect of Ravi. Very nice poem.
Thank you Jaswinder
Excellent!
Thank you
A brilliant idea knitted superbly. Beautiful.
Thank you Jaswant