आप के एहसानो की हद्द पार हो गयी,
गरीब की यह दुनिया माला – माल हो गयी
तन्हाईयों की दौलत का न था नाम – ओ – निशाँ,
अब यूं मिली है कि शाम शर्मसार हो गयी
यूं तो ज़िन्दगी में ग़म यहाँ वहां पढ़े थे,
तुमने दिए कुछ ऐसे कि ग़म – ए – बहार हो गयी
अपने ही अश्क़ों की कीमत का न था हमें एहसास,
आँख खुश्क हुई तो देखा तंग – हाल हो गयी
मासूमियत – ए – मोहब्बत पे बहुत नाज़ था हमें,
तेरी महफ़िल में जाने क्यों गुनाहगार हो गयी
दिल की धड़कन को अपनी ज़मानत समझते थे,
रफ्ता रफ्ता वह भी तेरी तरफदार हो गयी
सोचता हूँ, रवि, कैसे बचा रखूं इसे,
मेरी ज़िन्दगी की दौलत सर – ए – बाज़ार हो गयी
Aap ke ehssano ki hadd paar ho gayi,
Gareeb ki yeh zindagi maala-maal ho gayi.
Tanhaayiyon ki daulat ka na tha naam-o-nishaan,
Ab youn mili hai ke shaam sharamsaar ho gayi.
Youn to zindagi mein gham yahan wahan padhe the,
Tumane diye kuchh aise ke gham-e-bahaar ho gayi.
Apane hi ashqon ki keemat ka na tha hamen ehsaas,
Aankh khushk hui to dekha tung-haal ho gayi.
Masoomiat-e-mohabbat pe bahut naaz tha hamen,
Teri mehfil mein jaane kyun gunaahgaar ho gayi.
Dil ki dhadkan ko apani zamaanat samajhate the,
Rafta rafta woh bhi teri tarafdaar ho gayi.
Sochata hoon, Ravi, kaise bacha rakhun isse,
Meri zindagi ki daulat sar-e-bazaar ho gayi.