दुनिया में रह के भी दुनियादारी नहीं सीखी I
होशियार करते रहे वो, होशियारी नहीं सीखी II
आरज़ू – ए – इश्क़ ने हर बार मुझे किया मायूस I
बेक़रार होके भी बेक़रारी नहीं सीखी II
हमसे तंग – हाल तो कोई भी ना था ज़माने में I
बेहाल होके भी हमने लाचारी नहीं सीखी II
मुक़ाब्ले की जिदो जेहद में खोये थे सारे दोस्त I
सब जान के भी हम ने खुद – दारी नहीं सीखी II
तेरी बेवफाई जब हद्द से गुज़र गयी I
उस वक़्त भी हमने बेवफादारी नहीं सीखी II
शरम्सार तालुक़ – ए – मोहब्बत में हुये हर बार I
अफसोस, फिर भी हमने शरम्सारी नहीं सीखी II
तूने हुस्न – ए – नज़र पे पेहरे लगा दिये है I
हमने खज़ाना – ए – अश्क़ की भी पेहरेदारी नहीं सीखी II
जबसे तेरे इश्क़ में मरने का मिला है काम I
खुदा गवाह है हमने बेरोज़गारी नहीं सीखी II
Duniya mein reh ke bhi duniyadaari nahin seekhi,
Hoshiyaar karte rahe woh, hoshiyaari nahin seekhi.
Aarzoo-e-ishq ne har baar mujhe kiya mayuus,
Beqraar hoke bhi beqraari nahin seekhi.
Hamase tang-haal to koi bhi na tha zamaane mein,
Behaal hoke bhi hamane laachaari nahin seekhi.
Muqaable ki jido jehad mein khoye the saare dost,
Sab jaan ke bhi hamane khud-daari nahin seekhi.
Teri bewafai jab hadd se guzr gayi,
Us waqt bhi hamane bewafadaari nahin seekhi.
Sharamsaar taluq-e-mahabbat mein huye har baar,
Afsos, phir bhi hamane sharamsaari nahin seekhi.
Tune husn-e-nazar pe pehre laga diye hain,
Hamane khazaana-e-ashq ki bhi pehredaari nahin seekhi.
Jabase tere ishq mein marne ka mila hai kaam,
Khuda gavaah hai hamane berozgaari nahin seekhi.