नींद में आती हो तो नींद हो जाती है दूर,
ख्वाब बन के उठते हैं और हो जाते हैं चूर.
आज तक भूला नहीं है तेरी नज़रों का सरूर,
मैं मदहोश अब भी हूँ, मेरा ही है यह जुनून ओ फितूर.
मुन्तजिर हूँ आज रात मेरे घर आना ज़रूर,
रोशनी के लिए काफी है तेरे चेहरे का नूर.
तेरे इश्क से पहले ना थे हम यूं मजबूर,
तेरे इश्क के बाद हुए हैं अब बेहद्द मश्हूर.
माना हमारा घुट घुट के मरना भी नहीं मन्जूर,
यहाँ हम सज्दे में हैं वहाँ तुम हो मग्रूर.
या खुदा समझ गए तेरी दुनिया का दस्तूर,
कत्ल वह करते गए, ये भी मेरा ही था कसूर.
Neend mein aati ho to neend ho jaati hai duur,
Khwaab ban ke uthate hain aur ho jaate hain chuur.
Aaj taq bhuula nahin hai teri nazaron ka saruur,
Main madhosh ab bhi hoon, mera hi hai yeh junoon o fitoor.
Muntazir hoon aaj raat mere ghar aana zaruur,
Raushni ke liye kaafi hai tere chehre ka noor.
Tere ishq se pehle naa the hum youn majbuur,
Tere ishq ke baad huye hain ab behadd mashhuur.
Maana hamaara ghut ghut ke marna bhi nahin manzuur,
Yahan ham sajde mein hain wahan tum ho maghruur.
Ya khuda samajh gaye teri duniyaa ka dastuur,
Qatl woh karte gaye, ye bhi mera hi tha kasuur.
“Woh kate sar mera aur main kahoon unse, huzoor ahista..ahista….” – Nida Fazli
Thanks RS Yadav. True!