तुम वह नहीं हो जिस से मैं प्यार करता था,
आँखों में आँखें डाल के इज़हार करता था.
मेरी जुबां – ऐ – नब्ज़ पे था तेरी वफ़ा का नाम,
शौक – ऐ – ज़िन्दगी को सलाम सौ – बार करता था.
क्या आलम था वह अब भी दिल को खबर है,
सेहर से ही शब – ऐ – हुस्न का इंतज़ार करता था.
नाज़ुक लबों पे गर्मी – ऐ – जज़्बात थरथराते थे,
तेरी मासूमियत – ओ – नज़ाकत से न मैं इंकार करता था.
सुबह को जब तुम शाम कह के सुनाती थी,
तेरे सजदे में झुक के मैं इकरार करता था.
उल्फत -ऐ -ज़िन्दगी में वो मक़ाम भी आये,
जब तुम थी नहीं फिर भी तेरा दीदार करता था.
काश मैं समझ सकता तेरी दगा – बाज़ी का हुनर,
तुम वह कभी थी ही नहीं जिस से मैं प्यार करता था.
Tum woh nahin ho jis se main pyaar karta tha,
Aankhon mein aankhen daal ke izhaar karta tha.
Meri zubaan-e-nabz pe tha teri wafa ka naam,
Shauk-e-zindagi ko salaam main sau-baar karta tha.
Kya aalam tha woh ab bhi dil ko khabar hai,
Sehar se hi shab-e-husn kaa intezzaar karta tha.
Naazuk labon pe garmi-e-jazbaat thartharaate the,
Teri maasumiyat-o-nazaakat se na main inkaar karta tha.
Subah ko jab tum shaam keh ke sunaati thi,
Tere sajde mein jhuk ke main ikraar karta tha.
Ulfat-e-zindagi mein wo maqaam bhi aaye,
Jab tum thi nahin phir bhi tera deedaar karta tha.
Kaash main samajh sakta teri daga-baazi ka hunr,
Tum woh kabhi thi hi nahin jis se main pyaar karta tha.