मेरी आरज़ू-ऐ- मोहब्बत के जनाज़े पे वो भी उदास थे
कहीं मरने वाला उनका कोई हबीब तो नहीं?
यह हालात-ऐ-वफ़ा का ही कोई अंजाम लगता है
वरना ज़ालिम तो वह हैं पर कोई रकीब तो नहीं
क्या खून-ऐ-जिगर के बाद कोई अफ़साना बाकी है?
इस बद नसीब के कहीं ऐसे नसीब तो नहीं?
उनके नक्श-ऐ-कदम से कहीं ये फिर ना धड़कने लगे
इतना तो यह बेचारा नजीब तो नहीं
लटके हुए थे आज तक उनकी उल्फत के फंदे से
वह फिर भी कहते थे कोई सलीब तो नहीं
हमने दो जहां उनके किये एक कर दिए
उन्होंने फरमाया आम है, कोई अजीब तो नहीं
जलते गए, सहते गए, बहते रहे यह अश्क़
फिर भी तेरे रुखसार के करीब तो नहीं
तेरे दौलत-ऐ-ग़म मेरी बज़्म में ही तो रहते हैं
दिल तेरे बाजार-ऐ-इश्क़ में इतना गरीब तो नहीं
Meri aarzoo-e-mohabbat ke janaaze pe who bhi udaas the
Kahin marne waala unaka koi habeeb to nahin?
Yeh halaat-e-wafa ka hi koi anjaam lagata hai
Warna zaalim to who hain, par koi rakeeb to nahin.
Kyaa khoon-e-jigar ke baad bhi koi afsaana baaki hai?
Is badnaseeb ke kahin aise naseeb to nahin?
Unake nakshe-e-kadam se kahin who phir naa dhadakane lage?
Itana to yeh bechaara najeeb to nahin.
Latake huye the aaj taq unaki ulfat ke fande se
Who phir bhi kehate the koi saleeb to nahin
Hamane do jahan unake liye ek kar diye
Unhone farmaata aam hai ajeeb to nahin.
Jalate rahe, sehate rahe, behate rahe yeh ashq
Phir bhi tere rukhsaar ke kareeb to nahin
Tere daulat-e-gham meri bazm mein hi to rehate hain
Dil tere bazaar-e-ishq mein itana gareeb to nahin.