मेरी शाम से उसकी तन्हाईयाँ ना चुराओ
इसके पास इसके इलावा और कुछ नहीं
मैं यहाँ खुश हूँ मुझे वहां ना बुलायो
ना शौक, ना ख्वाइश, और कुछ नहींI
बेकसी की चादर ओढ़े सो रहा हूँ मैं
बुझे अरमान तले राख है, और कुछ नहीं
ये दौलत कभी कम न हो रो रहा हूँ मैं
अश्क़ों का खज़ाना है, और कुछ नहींI
मेरा हसीन आशिआना मुझे अब भी है याद
अब बर्बादी का आलम है, और कुछ नहीं
अब कौन सुनेगा मुझ गरीब की फ़रियाद
फ़टे दामन में दाग है, और कुछ नहींI
बुझा दो शमा, तोड़ डालो शीशा-ऐ-दिल
उम्मीद-ऐ-गम की दुनिया में और कुछ नहीं
इस ज़िन्दगी की शाम में कुछ तो हो हासिल
मुझे ख़ाक में मिला दो, और कुछ नहींI
हसरतों के सहारे कब तक चलेंगे हम
गर्दिश-ऐ-सफर में अब और कुछ नहीं
एक ही चिंगारी से देखना खूब जलेंगे हम
सूखी हड्डियां हैं, यादें हैं, और कुछ नहींI
Meri sham se usaki tanhaayiyan na churaayo
Isske pass isske siwaye aur kuchh nahin
Main yahan khush hoon, mujhe wahan naa bulaayo
Naa shauk, naa khwaaish, aur kuchh nahin.
Bekasi ki chaadar ode so raha hoon main
Bujhe armaano tale raakh hai, aur kuchh nahin
Ye daulat kabhi kam naa ho, ro raha hoon main
Ashqon ke khazaane hain, aur kuchh nahin.
Mera hasin aashiyana mujhe ab bhi ha yaad
Ab barbaadi ka aalam hai, aur kuchh nahin
Ab kaun sunega iss gareeb ki fariyaad
Fate daaman mein daag hai, aur kuchh nahin.
Bujha do shamaa, tod daalo shisha-e-dil
Umeed-e-gam ki duniya mein aur kuchh nahin
Iss zindagi ki sham mein kuchh to ho haasil
Mujhe khaak mein mila do, aur kuchh nahin.
Hasraton ke sahaare kab tak challenge ham
Gardish-e-safar mein ab aur kuchh nahin
Ek hi chingaari se dekhana aise jalenge ham
Sookhi haddiyan hain, yaaden hain, aur kuchh nahin.