This post is devoted to a friend of mine who remarked to me that writing poems is as easy as twiddling thumbs and that he could give me a run for money. Here goes:
मनकोटिया जी अपने आप को कहते थे कवी,
एक दिन इसी बात पे झड़प बैठा रवि,
कहने लगा, “शायरी क्या है, कविता क्या है कुछ तो जानते हो,
के तुक्के को ही कविता का रूप मानते हो?”
“यारों पे व्यंग करने के और भी रास्ते हैं,
कई और साधन हास परिहास के वास्ते हैं,
इस लिए कविता पर ही क्यूँ अत्याचार करते हो,
अपना और दोस्तों का समय बर्बाद करते हो”
“कविता लिखने के लिए पेन पेपर सब कुछ है आपके पास,
लेकिन दिमाग में आपके भरी हुई है घास,
ऐसे दिमाग की प्रेरणा को गधे ही भा सकते हैं,
पड़ने के बाद कम से कम पेपर तो खा सकते हैं.”
“लिखना ही है तो मान लो मुझे अपना गुरु,
और मेरे निर्देशन में कविता लिखना करो शुरू,
खीर खाने के बहाने हमें घर पे बुलाया करो,
भाभी के हाथ के माल्पुरे खिलाया करो”
“पिक्चर और डिस्को हमें रोज़ ले जाया करो,
थक जाएँ तो हमारे पैर दबाया करो,
दो तीन महीने में आप कविता सीख जायेंगे,
और रवि को सब कवियों का राजा मान जायेंगे.”
Mankotia ji apne aap ko kehte the kavi,
Ek din issi baat pe jhadap baitha Ravi;
Kehne laga, “Shayari kya hai, kavita kya hai kuchh to jaante ho,
Ke tukke ko hi kavita ka roop maante ho?”
“Yaaron pe vayang karne ke aur bhi raaste hain,
Kyi aur saadhan haas parihaas ke vaaste hain.
Is liye kavita per hi kyun atyachaar karte ho,
Apna aur doston ka samay barbaad karte ho?”
“Kavita likhne ke liye pen paper sab kuchh hai aapke paas,
Lekin dimaag mein aapke bhari hui hai ghaas.
Aise dimaag ki prerna ko gadhe hi bha sakte hain,
Padne ke baad kam se kam kaagaz to kha sakte hain.”
“Likhna hi hai to aaj se maan lo mujhe apna guru,
Aur mere nirdeshan mein kavita likhna karo shuru;
Kheer khaane ke bahaane hamein ghar pe bulwaya karo,
Bhabhi ke haath ke maalpure khilwaya karo.”
“Picture aur disco hamein roz le jaaya karo,
Thak jaayen to hamare pair dabaya karo.
Do teen mahino mein aap kavita seekh jayago,
Aur Ravi ko sab kaviyon kaa raja maan jayoge.”
nice poem…..:)